Saturday, September 12, 2009

MERE APNO MAIN WOH SHAMIL NAHI...


waise to aab mere apno me woh shamil nahi..
fir bhi uski yaado kaa aana jana laga rehata hai..
main maan chuka hoon ki woh mujhe hasil nahi..
magar shayad ek aur baar use mill lunga dil kehata hai..

chahat kaa yahi usul hai aant taak use chahte raho..
woh tumhe chahe naa chahe,use apnapan jatate raho..
keval paane kaa hi naam pyar nahi hota dost..
bin paaye bhi ek tarfa rishta nibhate raho..

sukun to kaam hi milta hai aisai raho me..
mahar safar me hoo to kadam badhate raho..
akhir main kya hoga kuch khoo doge yaa paa loge..
filhaal to jeet ki socho aur apne hosle badhate raho..

kai baar dard dil se bahar nikal ayega tumhare..
magar kai log dekh rahe hai tumhe,yahi soch kar muskurate raho..
jaab jhel naa paao koi gaam, aur dil bhar aaye..
to meri taraha haar dard se ek acchi shayeri banate raho.

ankit

Monday, November 10, 2008

KALI ANDHERI RAAT........


yeh woh waqt hai jaab suraj paschim main kho jata hai..
is samaya ek aam admi thaka hara akar ghar par soo jata hai..
ujale kaa namo nishan nahi rehata,,dharti andhere main sama jati hai..
is samay adhiktar ankho main meethi meethi neend aa jati hai....

ye tanha akeli raat hi to hai jo humari apni hoti hai,,,
kambakhat din to logo se mel - jol main hi kaat jata hai...
yahi woh samay hai jo hum jaise shaiyaro ke liye ata hai...
is samay humara har ek wichar meethi gazal baan jata hai...

yu to dinbhar duniya ke liye humain muskurana padta hai..
naa chahte huve bhi is swarthi jagat ke logo ko apnana padta hai..
ye gumnaam raat hi hai jo humain wapas udaas kaar jati hai..
wapas dil ke saare jakhmo koo kured kar hara-bhara kaar jati hai...

fir wapas wahi tanha safar shuru hota hai,dil ko tadpane kaa...
aaj aur kitne gaam mile is duniya se khudh koo batane kaa...
is waqt main khudh ko duniya se mehafus pata hoon..
kyuki is waqt main tanhai aur dard ke agosh main aa jata hoon..

ye raat bhi apni hi taraha hai,,subha hote hi apna andhera kho degi..
jaise hum khush ho lete hai duniya ke liye,,ye bhi ujiyali hoo legi..
aur jaise hum khushaal kehalate hai,,ye din kehalayegi....
issi ummid main hum dono din ko jeete hai ki,,,,,,,,,
''''''''shaam ke baad aaj fir raat ayegi'''''''''

Sunday, October 5, 2008

TERE LAUT AANE KAA INTZAR AAJ BHI HAI....


Mujhko tere laut aane ka intzar aaj bhi hai...
Mera ye dil tere liye utna hi bekarar aaj bhi hai...

Bhale hi tood diya hoo tune is dil ko kanch ki taraha...
Par is tute huve dil main teri liye beshumar pyar aaj bhi hai...

Kya huva jo tumne humse milne aana chore diya...
Humain to besabri se tera intzar aaj bhi hai...

Suna hai wakt har jhakm bhar diya karta hai...
Lekin is dil par teri thokar ke nishan aaj bhi hai..

Baas isi baat se khush hoon kar ji rahan hoon...
Ki shukhr hai mere is chehere ki tujhe pehachan aaj bhi hai..

Friday, September 26, 2008

LIKHNE KO DIL KARTA HAI TO KALAM UTHA LETA HOON....


likhne ko dil karta hai to kalam utha leta hoon..
dil main jo dard hota hai use gazal bana deta hoon...
ansuo ki kaun parwah karta hai is duniya mein..
main apne ghamo ko shayari bana deta hoon...

ajj tak bahut kuch likha hai,,aur aage bhi likhta rahunga,,
yun bhi khush dikha karta tha,aage bhi dikhta rahunga..
shayari to hoti hi hai apne dil ki baate batane ke liye..
inhe to hum sab likhte hai dil ka dard chalkane ke liye...

yahi woh panktiya hoti hai joo dil ki dasta asani se keh jati hai..
inhe log ankho se padhte hai aur ye dil main utar kar reh jati hai..
dard kisi kaa bhi hoo,wah padhne wale ke zahen main utar hi jata hai..
jara ye bhi to socho ki likhne wala itna dard kaha se lata hai.....

maine kabhi ye nahi chaha...
ki main aur shayero ki taraha mashoor hoo jaun..
baas itna chahta hoon ki main har dard se door hoo jaun..

''''''''''''par kehete hai dard se door hone se shayer kaa hunar khatm ho jata hai..
aur log chahte hai ki hum likhte rahe,,islie hum dard se judhe reh jate hai..
aur apne padhne walo ke liye..likhte jate hai aur bass likhte hi jaate hai....'''''''''''''''''

Thursday, September 25, 2008

EK AJNABI ZINDGI MAIN AYA...


EK AJNABI ZINDGI ME AYA AUR MUJHE APNAPAN JATA KAR CHALA GAYA....
KUCH DIN SAATH RAHA AUR MUJHE KHUD KI ADAT LAGA KAR CHALA GAYA...
JANE KYU VO WAKT BAR-BAR YAAD AATA HE,JAB VO MERA SATHI HUVA KARTA THA...
JANE KYU MAIN BHI USSE MILNE KE LIYE DIN-RAAT BAICHEN RAHA KARTA THA....

ek samaya woh tha jab main uske karibh huva karta tha.....
uski zindgi ki har khushi aur gum main sarikh huva karta tha......
agar kabhi zindgi use kuch gum diya karti thi....
to main khudh ko dardh diya karta tha.....

aj bhi jab vo suhana vakt yaad aata hai.....
dil ki pareshaniyo ko mita jata hai....
vo shaksh humain yaad karta hain yaa nahi........
ye to hum kaih nahi sakte, likin vo zarur humain,
aksar tanhiyo main yaad aa jata hain..........

ab use yaad karne ke siva aur kar bhi kya sakta hoo....
is zindgi se pareshan ho kar mar bhi kaha sakta hoo.......
ab to in tanhaiyo ko hi apna humsafar banana hai......
aur huste-huste is viran zindgi ko kaat zana hai.......

ajj bhi usi modh par roz unka intazar karta hoo.....
jaha par kabhi hum ek-duje ko mila karte the..
ajj bhi main aksar us jagaha par tanha baitha rehata hoo...
jaha kabhi hum dono ek-duje ke liye intezar kiya karte the...

zindgi apni raftar se chal rahi hai,roz naye rang badal rahi hai......
dekhta ho aane vale samaye me main kya hasil kar pata hoo....
thoda khush hota hoo....,yaa aise hi dukhi reha jata hoo...