likhne ko dil karta hai to kalam utha leta hoon..
dil main jo dard hota hai use gazal bana deta hoon...
ansuo ki kaun parwah karta hai is duniya mein..
main apne ghamo ko shayari bana deta hoon...
ajj tak bahut kuch likha hai,,aur aage bhi likhta rahunga,,
yun bhi khush dikha karta tha,aage bhi dikhta rahunga..
shayari to hoti hi hai apne dil ki baate batane ke liye..
inhe to hum sab likhte hai dil ka dard chalkane ke liye...
yahi woh panktiya hoti hai joo dil ki dasta asani se keh jati hai..
inhe log ankho se padhte hai aur ye dil main utar kar reh jati hai..
dard kisi kaa bhi hoo,wah padhne wale ke zahen main utar hi jata hai..
jara ye bhi to socho ki likhne wala itna dard kaha se lata hai.....
maine kabhi ye nahi chaha...
ki main aur shayero ki taraha mashoor hoo jaun..
baas itna chahta hoon ki main har dard se door hoo jaun..
''''''''''''par kehete hai dard se door hone se shayer kaa hunar khatm ho jata hai..
aur log chahte hai ki hum likhte rahe,,islie hum dard se judhe reh jate hai..
aur apne padhne walo ke liye..likhte jate hai aur bass likhte hi jaate hai....'''''''''''''''''
Friday, September 26, 2008
LIKHNE KO DIL KARTA HAI TO KALAM UTHA LETA HOON....
Posted by Ankit Jain at 10:54 PM 6 comments
Thursday, September 25, 2008
EK AJNABI ZINDGI MAIN AYA...
EK AJNABI ZINDGI ME AYA AUR MUJHE APNAPAN JATA KAR CHALA GAYA....
KUCH DIN SAATH RAHA AUR MUJHE KHUD KI ADAT LAGA KAR CHALA GAYA...
JANE KYU VO WAKT BAR-BAR YAAD AATA HE,JAB VO MERA SATHI HUVA KARTA THA...
JANE KYU MAIN BHI USSE MILNE KE LIYE DIN-RAAT BAICHEN RAHA KARTA THA....
ek samaya woh tha jab main uske karibh huva karta tha.....
uski zindgi ki har khushi aur gum main sarikh huva karta tha......
agar kabhi zindgi use kuch gum diya karti thi....
to main khudh ko dardh diya karta tha.....
aj bhi jab vo suhana vakt yaad aata hai.....
dil ki pareshaniyo ko mita jata hai....
vo shaksh humain yaad karta hain yaa nahi........
ye to hum kaih nahi sakte, likin vo zarur humain,
aksar tanhiyo main yaad aa jata hain..........
ab use yaad karne ke siva aur kar bhi kya sakta hoo....
is zindgi se pareshan ho kar mar bhi kaha sakta hoo.......
ab to in tanhaiyo ko hi apna humsafar banana hai......
aur huste-huste is viran zindgi ko kaat zana hai.......
ajj bhi usi modh par roz unka intazar karta hoo.....
jaha par kabhi hum ek-duje ko mila karte the..
ajj bhi main aksar us jagaha par tanha baitha rehata hoo...
jaha kabhi hum dono ek-duje ke liye intezar kiya karte the...
zindgi apni raftar se chal rahi hai,roz naye rang badal rahi hai......
dekhta ho aane vale samaye me main kya hasil kar pata hoo....
thoda khush hota hoo....,yaa aise hi dukhi reha jata hoo...
Posted by Ankit Jain at 11:14 PM 2 comments
Subscribe to:
Posts (Atom)



