Sunday, October 5, 2008

TERE LAUT AANE KAA INTZAR AAJ BHI HAI....


Mujhko tere laut aane ka intzar aaj bhi hai...
Mera ye dil tere liye utna hi bekarar aaj bhi hai...

Bhale hi tood diya hoo tune is dil ko kanch ki taraha...
Par is tute huve dil main teri liye beshumar pyar aaj bhi hai...

Kya huva jo tumne humse milne aana chore diya...
Humain to besabri se tera intzar aaj bhi hai...

Suna hai wakt har jhakm bhar diya karta hai...
Lekin is dil par teri thokar ke nishan aaj bhi hai..

Baas isi baat se khush hoon kar ji rahan hoon...
Ki shukhr hai mere is chehere ki tujhe pehachan aaj bhi hai..