Monday, May 24, 2010

EK DIN KHUDH SE HAAR JAUNGA,YE KISNE JANA THA..


Raste to anek the par manzil kaa thikana naa tha,,
bheega bheega mausam tha aur mitti kaa ashiyana tha..
har cheej se ladne kaa daam rakhta tha main,,
ek din khudh se haar jaunga ye kisne jana tha..

aaj dil hai pareshan aur ajibogarib mere vichar hai,,
kitne rishte tood diye jinka mujhpar upkar hai..
bebas hoon main bhi ansu ko chupa raha hoon,,
rooh to kaab ki maar gayi,fir bhi jeeye jaa raha hoon..

ek tute huve fool saa hoon kaab tak saath nibhaunga,,
kal khushboo bhi udd jayegi aur kisi kaam naa aunga..
tum apni socho aur mujhse kinara karloo,,
chore do daman mera aur mujhe besahara kardo..

kuch aise hai halat ki khushi ki koi baat naa rahi,,
itna badal gaya hoon main ki acchayi mere saath naa rahi..
maaf karna mujhe jo kabhi tumhe dukh pahuchaya maine,,
haan ye saach hai kabhi puri taraha saath naa nibhaya maine..

majboor hoon isliye dooriya badha raha hoon,,
mere khayalato ko tumhare dil se mitana chah raha hoon..
chal pada hoon main kisi anjane se safar par,,
bass chal raha hoon pata nahi kaha jaa raha hoon..

AnKiT

ABHI BACCHA HOON MAIN..


behaka huva hoon,kahi zindgi main bhatak naa jaun,,
koi to aakar samjhaye mujhe,ki abhi baccha hoon main..

bachpan se hi gaamo ko dil main rakhna sikh liya maine,,
kahi ye naasur naa baan jaye,ki abhi baccha hoon main..

zindgi bhi hasti hai,meri naakaamiyo ko dekh kar,,
koi to mere hausle badhaye,ki abhi baccha hoon main..

abhi thik se khud ko sambhal pana to sikh lene do mujhko,,
fir shayad har rishta mujhse nibh jaye,ki abhi baccha hoon main..

ankho ki nami par naa jaya karo meri aye dosto,,
jaruri nahi ki har gaam chup jaye,ki abhi baccha hoon main..

abb zindgi ki jagdo-zahet se samay nahi nikaal pata main,,
kaash ye baat mere dosto ko samajh aaye,ki abhi baccha hoon main..


khuda jaab tere pass aunga to tera hi ho kar reah jaunga,,
filhal mere din khushi se beet jaye,ki abhi baccha hoon main

aisi shayeri likhna to shauk hai ''ANKIT'' kaa,,
kahi ye meri adat naa baan jaye ,ki abhi baccha hoon main..

AnKiT

ZINDGI KYA HAI...


ZINDGI KYA HAI...

EK NANHHI SI JAAN HAI,,
JISE ACCHE BURE KI SAMAJH NAHI..

EK KHETH VIRAN HAI,,
JISMAIN KHUSHIYO KI SADA UPEAJ NAHI..

EK TANHA SA TARA HAI,,
JO BEWAJHA CHAMTA REHATA HAI..

EK PEDAAYSHI BANJARA HAI,,
JO JANGLO MAIN BHATAKTA REHATA HAI..

EK SAFFED RANG HAI,,
JO DUSRO KE BIN SADA HI FIKA HAI..

EK KAMAL KAA PHOOL HAI,,
JO ATI SUNDER HO KAR BHI KEECHAR MAIN JEETA HAI..

EK SUNDER KHAWAB HAI,,
JISKI UMRR KEVAL SUBHA TAK HAI..

EK GEHARI UMMID HAI,,
JISPAR BHAROSA KEVAL''DAGA'' TAK HAI..

AUR EK SACCHA PYAR HAI,,
JISMAIN SHAMIL KAI ''BEWAFA'' TAK HAI...


AnkiT

SARI UMAR JISE IN NIGHAO NE TALASH KIYA...


Sari umar jise in nighao ne talash kiya,,
door rehkar bhi usne mujhe naa yaad kiya..
maine beeta di raate jiski yaado main jaag kar,,
woh kehte hai tumne apna waqt bewajha barbad kiya..

maine to use chaha tha zamane se badh kar,,
magar use kisi aur deewane ki talash thi..
main to sada raha uske sang badal baan kar,,
jane woh kaisi dharti thi,jise naa koi pyas thi..

ise dillagi kahu,yaa ye ek dimagi bukhar hai,,
logo se puchta hoon to kehte hai ki ye 'PYAR' hai..
yunhi apne sawalo main ulajhta rehata hoon,,
use yaad karta hoon aur tadapta rehata hoon..

akhir aab dil ko samjha kar use vidayi de raha hoon,,
yaa yun kahloo ek un-chahi si judai le raha hoon..
use jata kar ki nafrat hai mujhe usse,,
ek jhutha ilzam-e-bevafai le raha hoon..

Sunday, May 23, 2010

MAIN RUTHA RAHA USE YE JATANE KE LIYE...

main rutha raha use ye jatane ke liye,,
ki tumhe aaana hoga mujhe manane ke liye..
bahut dard diye hai teri khamoshi ne mujhe,,
aab main khamosh hoon tujhe us dard ka ehsas karane ke liye..

socha tha tujhe milkar saab kuch batana hai,,
kitna intzar tha tera in ankho main tujhe jatana hai..
kai gaam dafan the dil main sadiyo sai mere,,
un rote huve gaamo ko,khilkhilati khushiya banana hai..

magar teri ruswai se mera faisla badal gaya,,
maine kuch naa kaha aur ummido kaa suraj dhaal gaya..
main ruka raha sare safar tere intzar main,,
aur tune mujhe dekha bhi nahi aur aage nikal gaya..

shayad hatho ki lakiro main tanha safar hi likha hai,,
aur ek tera naam hai jo mitane se naa mita hai..
khush to naa reh paunga par muskura lunga main,,
jaab bhi dil bhar ayega tera naam gunguna lunga main..


AnKiT