
Raste to anek the par manzil kaa thikana naa tha,,
bheega bheega mausam tha aur mitti kaa ashiyana tha..
har cheej se ladne kaa daam rakhta tha main,,
ek din khudh se haar jaunga ye kisne jana tha..
aaj dil hai pareshan aur ajibogarib mere vichar hai,,
kitne rishte tood diye jinka mujhpar upkar hai..
bebas hoon main bhi ansu ko chupa raha hoon,,
rooh to kaab ki maar gayi,fir bhi jeeye jaa raha hoon..
ek tute huve fool saa hoon kaab tak saath nibhaunga,,
kal khushboo bhi udd jayegi aur kisi kaam naa aunga..
tum apni socho aur mujhse kinara karloo,,
chore do daman mera aur mujhe besahara kardo..
kuch aise hai halat ki khushi ki koi baat naa rahi,,
itna badal gaya hoon main ki acchayi mere saath naa rahi..
maaf karna mujhe jo kabhi tumhe dukh pahuchaya maine,,
haan ye saach hai kabhi puri taraha saath naa nibhaya maine..
majboor hoon isliye dooriya badha raha hoon,,
mere khayalato ko tumhare dil se mitana chah raha hoon..
chal pada hoon main kisi anjane se safar par,,
bass chal raha hoon pata nahi kaha jaa raha hoon..
AnKiT
Monday, May 24, 2010
EK DIN KHUDH SE HAAR JAUNGA,YE KISNE JANA THA..
Posted by Ankit Jain at 12:24 AM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


0 Comments:
Post a Comment