likhne ko dil karta hai to kalam utha leta hoon..
dil main jo dard hota hai use gazal bana deta hoon...
ansuo ki kaun parwah karta hai is duniya mein..
main apne ghamo ko shayari bana deta hoon...
ajj tak bahut kuch likha hai,,aur aage bhi likhta rahunga,,
yun bhi khush dikha karta tha,aage bhi dikhta rahunga..
shayari to hoti hi hai apne dil ki baate batane ke liye..
inhe to hum sab likhte hai dil ka dard chalkane ke liye...
yahi woh panktiya hoti hai joo dil ki dasta asani se keh jati hai..
inhe log ankho se padhte hai aur ye dil main utar kar reh jati hai..
dard kisi kaa bhi hoo,wah padhne wale ke zahen main utar hi jata hai..
jara ye bhi to socho ki likhne wala itna dard kaha se lata hai.....
maine kabhi ye nahi chaha...
ki main aur shayero ki taraha mashoor hoo jaun..
baas itna chahta hoon ki main har dard se door hoo jaun..
''''''''''''par kehete hai dard se door hone se shayer kaa hunar khatm ho jata hai..
aur log chahte hai ki hum likhte rahe,,islie hum dard se judhe reh jate hai..
aur apne padhne walo ke liye..likhte jate hai aur bass likhte hi jaate hai....'''''''''''''''''
Friday, September 26, 2008
LIKHNE KO DIL KARTA HAI TO KALAM UTHA LETA HOON....
Posted by Ankit Jain at 10:54 PM
Subscribe to:
Post Comments (Atom)



6 Comments:
hey,,,gud one,,,yaar,,tumhare to kya kehne.......
sahi likha hai bhai....likhne ka koi reason nahi hota...bas kalam uthao aur dil ka dard kaagaz pe utaar do!
likhte rehna....rukna mat bhai!!!
bhai .....u r best one ...i ever croosss through....ankit here...orkut wala....pahchan le....superb bhai....
aekdam sahi, jaab jazbat umadte hain to koi gatahai, koi bajata hai, koi likhta hai.....creation aise hi hota hai,naisargiksa.
bahut achha laga.
jus one word .."BRILLIANT " ...!! bahut dino baad kisi ke shabd dil ko itna chhoo gaye ...
ankit ...u r just fantastic...hum to aapke poems k Fan ho gaye hai ...gr8 yaar ...n always keep it up...
Post a Comment